Saturday, September 08, 2007

Main yahan kyon aa gaya, Tujhe Choer ke....

Main yahan kyon aa gaya
Tujhe choer ke...

Kya yahi thein mere jivan ke sapne...
Kya yahi chahta thaa main...

Kya chahta tha main... kya yahi...

Mere sapne the tere sang jeene ki... marne ke...

Mar to loonga main tere saath.. par kya jee paoonga..
Phir...???
Main yahan kyon aa gaya, tujhe choer kar...

Chaha tha maine tujhe bahut... pata nahi sayad nahi...
Jhuth bolta hoon apne aap se...

Maine tujhe nahi chaha tha....
Agar haan.... to

Main yahan kyon aa gaya.. Tujhe choer ke....

Din raat sonchta hoon, tere baare mein...
Yaad aata hai, ek ek pal..
Phir... Phir kaya rokta hai mujhe.. tujse milse se...
Kya rokta hai mujhe... tere sang phir jine se..

Kya yahi chaha thaa maine...

Sab kuch to thik tha..... phir achanak kya ho gaya...

Main yahan kyon aa gaya, tujhe choer ke...

Log kahtein hain ab nahi jee paoonga tere sang.....
Kya sach kahte hain wo........ kya unhe sab pata hai.......
Tu bata tujhe kya lagta hai... kya nahi aaoonga tere paas ab...
kya phir se nahi jhumoonga-gaoonga tere sang... kya phir nahi paoonga tujhe....

Nahi....... Main phir aaoonga.... Marne nahi... jeene aoonga...
Tere saath larne aur jhagarne aaoonga..
Tere sang bolne aur gungunane aoonga...
Phir aoonga tujhe paane... Tujhe Gale lagane..

Pata nahi kab... par aoonga....... tere sang jeene aoonga.............

Kyonki roj sonchta hoon main - Main yahan kyon aa gaya, tujhe choer ke......

No comments: